Mai apne baare me zyada jaankari nahi de sakta kyunki usse meri vyaktigat pehchaan zahir ho sakti hai, jo mai kisi kimat par nahi chahta. Bas thodi bahut zaruri cheezein bataye de raha hun ki umar me 50 paar ho chuka hun. Kendra sarkar ke adheen ek adhikari hun aur Delhi me hi niyukt hun jo ki mera hometown bhi hai. Dikhne me na bahut accha hi kaha ja sakta hun aur na hi kharab.
Purane zamane ke amiron me se hun to shandaar ghar hai aur pehle to kaafi naukar-chakar bhi hote the jab pura parivaar saath hota tha lekin maine ek zaruri naukar ko chhod sabhi ko hata diya hai, kyunki mai akela hun.
Ek khana banane wali hai jo subah-shaam aati hai aur khana bana jati hai. Baaki saaf-safai Khem Singh dekh leta hai jo shuru se hamare paas hai. Ek mali saptah me 1 baar aata hai aur lawn aadi me rakhe paudhon ki dekhbhaal kar jaata hai.
Ab aate hain is mudde par ki mai akela kyun hun… 2 saal peeche tak isi ghar me patni Veena bhi rehti thi aur beta-beti Aryan aur Sonia bhi. Phir kuch aisa hua ki sab bikhar gaya. Yeh sab batane ki naubat bhi isliye aayi ki mai kisi ko kabhi woh sab baatein bata hi nahi paya … aakhir mard tha, aur kadam-kadam pe haar thi to kehta bhi kisse? Yahan pehchaan chhupa kar keh sakta hun to man ka bojh halka kar raha hun.
Sansar me tarah-tarah ke log hain aur zyadatar ek mard ya ek aurat ke roop me sampurn hi hain lekin sabhi sampurn nahi hain. Kuch me kamiyan bhi rah jati hain … yeh hormonal asantulan ke karan hota hai. Jise sadharan paimane par kaha jaye to yun samajhiye ki sambhog ke liye lagbhag sabhi yogy hote hain lekin mizajan kuch purush aur stri is mamle me ati sakriya hote hain, wahin kuch stri-purush is mamle me behad thande hote hain aur is thandepan ki shikar zyadatar auratein hoti hain, jiska ek ya mukhya karan shayad samajik palan-poshan hota ho… lekin kuch purush bhi usi tarah thande swabhav ke hote hain, bhale unki sankhya behad kam ho.
Durbhagya se aisa hi ek purush mai hun. 25 ki umar me meri Veena se shadi hui thi, usse pehle is cheez ki taraf to mera kabhi dhyan hi nahi gaya tha. Aisa nahi tha ki mujhme koi sharirik kami thi. Bharpur mardana badan tha, ling bhi samanya purush ki tarah uttejit aur stambhan ke pashchat skhalit hota tha. Kisi kism ka koi samlaingik aakarshan bhi nahi tha. Bas sexual hormones ati sakriya nahi the balki kaha jaye to bahut slow the… sex me meri dilchaspi behad kam thi.
Koi nari shareer mujhe utna nahi uttejit karta tha jitna baakiyon ko. Mai saathi ladkon ke saath mastram wala sahitya bhi padhta tha aur blue filmon ko bhi dekh leta tha lekin maine hamesha mehsoos kiya ki unhe le kar mujhme woh romanch nahi paida hota tha jo baakiyon me hota tha. Woh sab mujhe utna ruchikar nahi lagta tha jitna saath ke doosre ladkon ko, ya us yuvavastha me lagna chahiye tha.
Jabki Veena ka swabhav behad ulat tha… uske sexual hormones ati sakriya the; woh behad garam tabiyat ki yuvati thi. Shadi ke shuruaati daur me aisa lagta tha jaise us par 24 ghante sex ka bhoot sawar rehta ho. Woh chahti thi ki hum din-raat sex karein lekin mai us mizaj ka tha hi nahi. Mai bamushkil shuru me din me 1 baar aur thoda waqt guzarte hi hafte me 2-3 baar tak hi kar pata tha.
Yeh uske lihaz se oont ke muh me jeere jaisi sthiti thi. Shuru me woh bardaasht karti rahi lekin phir aage chal kar yahi abhav chidchidahat me badal gaya aur humme is baat ko le kar jhagde hone lage.
Mere andar ke mard ko jagane, uksane ke liye woh apni hostel life ki kahaniyan sunane lagi ki woh kitna aur kaise-kaise sex karti thi aur ek mai hun. Yeh mere liye sharmindagi ki baat thi ki meri patni ko itne log pehle hi bhog chuke the aur mujhe is baat pe gussa aana chahiye tha lekin apni kamzori ke chalte mai woh gussa bhi pee jaata tha. Maine dawa-ilaj karne ki koshish ki… unka thoda asar to hota lekin ab iske liye zindagi bhar bhi dawaiyan to nahi khai ja sakti thin.
To 4 din ki chandni hoti aur phir andheri raat wali naubat aa jati.
Isi tarah ladte-jhagdate 2 saal guzar gaye aur usne Aryan aur Sonia ke roop me 2 judwa bacchon ko janm diya. Mai khush tha ki is bahaane uska mizaj badlega. Bacche 2 kaafi the, maine apna operation bhi karwa liya.
Agle 4-5 saal sthiti thodi samanya rahi. Ek saath 2 bacchon ki jimmedari me uljhe rehna hi use thaka deta tha aur jitni energy phir sex ke liye bachti thi, usse mai nipat sakta tha.
Lekin jaise hi bacche thoda bade hue, jimmedariyan kam hui aur use waqt milne laga… woh dhire-dhire phir usi aakramak roop me aane lagi jise sambhal pana ek mard ke taur par mere bas se bahar tha.
Maine jaan-bujhkar apna tabadla dakshin Bharat me kara liya. Mujhe andaaza tha ki use south ka rehan-sehan, khan-paan pasand nahi tha aur woh shayad hi wahan jaana pasand kare. Wahi hua… ya shayad iski wajah mujhse aazadi thi jo use chahiye thi. Mai qareeb 12 saal bahar raha aur 2-3 mahine me hafte bhar ke liye ghar aata tha lekin use shikayat nahi hoti thi.
Kyun nahi hoti thi, yeh tab pata chala jab wapas mera tabadla Delhi hua.
Usne na sirf high society me hi kai yaar bana liye the balki ghar ka driver tak uske kaam aa raha tha. Mujhe yeh baatein idhar-udhar se pata chali thin lekin maine poocha to usne badi aasani se sweekar kar liya. Tab tak bacche boarding ke layak ho chuke the to unhe Dehradun daal diya tha aur ab hum miyan-biwi akele hi rehte the. Mujhe laga tha ki waqt ke saath uski bhookh kamzor pad jaayegi lekin yahan to lakshan ulte hi the.
Ab woh bekhouf ho chuki thi aur mere hone ki parwah bhi nahi karti thi. Maine bhi uski parwah karni chhod di thi. Thoda bacchon me man lagaane ki koshish karta jo kabhi-kabhaar hum le aate the… aksar mai hi unke paas chala jaata tha.
Dhire-dhire bacchon ki boarding ki padhai puri ho gayi to ve Delhi laut aaye. Aage ve England jaana chahte the… mujhe aitraaz nahi tha aur use bhi kyun hota. Unhone apni koshishon se wahan admission le liya.
Lekin usi beech woh ghatna ghat gayi… sabhi ghar pe the lekin achanak bedroom me chhoti si baat se shuru hua jhagda itna vikraal ho gaya ki sara atit hum dono ne udhed diya. Ladai ki aawaazen bahar bacchon ne bhi suni thin. Jhagde ke baad woh khud car le kar bahar nikal gayi … bacchon ne rokne ki koshish ki lekin uske sar par bhoot sawar tha.
Aur aadhe ghante baad ek security wale ka phone aaya ki uska accident ho gaya tha aur woh hospital me thi. Hum daudte-bhagte hospital pahunche to woh zinda thi lekin hamare dekhte-dekhte usne dam tod diya.
Haadsa hamare liye sadme se kam nahi tha lekin insan ubarta hi hai. Bacche zyadatar maa ke qareeb hote hain aur phir unhone aksar hi mujhe buzdilon ki tarah usse daman bachate bhi paya tha. Bhale woh saamne se na kehte hon lekin mujhe ehsaas tha ki ve maa ki maut ka zimmedar mujhe hi samajhte the.
Phir woh waqt bhi aaya jab ve aage padhai ke liye England chale gaye aur mai akela rah gaya us bade se ghar me. Shayad yahi meri niyati thi. Mujhe naukron ki zarurat nahi thi. Khem Singh ko chhod kar maine sabko vida kar diya. Khana banane ke liye ek umr daraaz aurat rakh li jo subah-shaam khana bana jaye.
Ab bacche wahin rehte hain; 2 saal guzar chuke; bas 1 baar 10 din ke liye aaye the. Haan phone par net ke madhyam se jab-tab baat ho jati hai.
Mai ek thanda aur sex me ek had tak nakaam purush raha hun, ab yeh sweekarne me mujhe koi sankoch nahi aur yahi wajah thi ki is bade se ghar me mai aaj akela tha. Khem Singh ghar ki saaf-safai ke saath mera dhyan rakhta tha lekin uska quarter bahar tha to zyadatar wahin rehta tha.
Yahan se meri simple, boring zindagi me ek romanchak mod aaya. Darasal mere ek saale yani Veena ke bhai, jo ki Bihar ke ek shehar me rehte the… unki taraf se ek baat aayi thi ki unki beti Vaidehi ne Delhi ke ek pratisthit college me admission liya hai aur woh ab Delhi hi rahegi. Ve use kinhi karanon se hostel me nahi rakhna chahte the to unki raay thi ki mai koi aisa surakshit thikana dekh dun jahan woh ghar ki tarah hi rah kar padhai kar sake.
Meri samajh me to yahi aaya ki mera ghar kya bura tha … mera akelapan bhi kuch had tak door ho jaayega aur use bhi bhala kya pareshani hogi. Uska college bhi yahan se paas hi padta. Ve bhi shayad yahi kehna chahte the lekin direct kehne se hichkichate the. Baharhaal baat tay ho gayi to agle hafte Vaidehi ko ve khud aa kar mere paas chhod gaye.
Woh 21-22 ki vay ki aakarshak ladki thi jo kisi bhi yuva ke liye sahaj aakarshan ki cheez ho sakti thi lekin mere man me uske liye waisi hi bhavnayein thin jaise Sonia ke liye ho sakti thin. Bahut zyada uska avalokan karne ki mujhe zarurat na mehsoos hui aur woh bhi kam bolne wali ladki hi sabit hui. Mere saath waise hi samanya thi jaise koi bachchi apne foofa ji ke saath ho sakti hai.
Baharhaal, woh wahin rehne lagi. Uske rehne se aisa bhi nahi tha ki ghar me bahut halchal hone lagi ho magar shaam ko jab office se aata tha to itna sukoon kya kam tha ki ghar me koi tha jisse mai poochh sakta tha ki aur beta.. aaj din bhar kya kiya. Halaanki uski dincharya bhi sadharan hi thi. Subah taiyar ho kar college nikal jati aur wapas lautti to apne kamre me rah kar padhai me lagi rehti.
Mai aata to zarur bahar aa jati aur khud se chai bana kar mujhe deti. Mere saath thodi der baith kar baatein karti… TV dekhti. Is bahaane kam se kam thoda man to mera bhi bahal jaata.
Par ek din use le kar mere vichar thode badalne shuru hue. Us din mai ghar pe hi tha … mai sabse upar ek aise kamre me tha jahan se us kamre ka ek hissa dikhta tha jisme Vaidehi rehti thi. Yani woh kaanch ki sliding ke kinare agar khadi ho to us jagah se dekha ja sakta tha, jahan is waqt mai tha. Jis jagah Vaidehi thi, wahan se bungalow ke peeche ka woh hissa dikhta tha jahan Khem Singh ka quarter tha aur is waqt Khem Singh ko wahin hona chahiye tha.
Gaur karne wali baat yeh nahi thi ki Vaidehi bas ek sleeveless t-shirt aur capri me thi, balki yeh thi ki woh sheeshe se chipki bahar kuch dekh rahi thi aur dekhte hue ek haath se swayam apne vaksh masal rahi thi to doosre haath se capri me wahan ragad rahi thi, jahan yoni hoti hai.. yeh is baat ka sanket tha ki woh kuch aisa dekh rahi thi jo use uttejit kar raha tha. Sliding ke sheeshe aise the jisse andar se bahar to dekha ja sakta tha lekin bahar se andar nahi to zahir hai ki yeh sab karte hue use andaaza hoga ki use koi nahi dekh raha tha.
Lekin jo uske side me chhoti khidki thi, aur khuli hui thi, wahan se woh mujhe dikh rahi thi aur mujhe le kar shayad woh nishchint ho ki mai apne kamre me hounga.
Par woh dekh kya rahi thi?
Mai tezi se wahan se hata aur us kamre se hat kar niche doosri manzil ke Vaidehi wale room se sate us doosre room me aa gaya jahan se bhi waise hi dekha ja sakta tha, jaise Vaidehi dekh rahi thi.
Khem Singh ke quarter me upar ki taraf roshni ke liye ek kaanch laga hua tha jo servant quarter ke lihaz se transparent hi tha aur us jagah se andar kamre ka ek hissa, ya yun kahen ki saamne wali deewar dekhi ja sakti thi, agar andar andhera na ho to… aur chunki nikhra hua din tha to mai dekh sakta tha ki woh deewar se sata tha aur apni shirt thuddi ke niche dabaye, apna lower niche kiye apna ling nikale ek haath se use ragad raha tha. Yeh koi crystal clear view to nahi tha par phir bhi dekha to ja hi sakta tha.
Mujhe ekdum se badi tez gussa aaya aur ji chaha ki abhi use bula kar dande se uski pitai kar dun. Mai wahan se hat kar apne kamre me chala aaya aur easy chair par pad kar hilte hue, apne krodh ko kabu me karne ki koshish karne laga.
Jo bhi maine dekha.. jo bhi ho raha tha, usme galat kya tha. Kya yeh naisargik nahi tha? Khem Singh ka pita pehle hamare yahan kaam karta tha, phir woh gaon laut gaya to Khem Singh uski jagah naukri karne laga. Woh 23-24 saal ka hi tha aur jawan tha. Usme bhi wahi ati sakriya hormones honge jo jawani ke dinon me mai apne saathiyon me dekhta tha. Woh bhi apne jism ki aag se pareshan hota hoga to uske paas bhi vikalp kya tha?
Vaidehi bhi taazi-taazi yuva hui thi, woh bhi samanya stri ki tarah apne andar un sexual hormones ki sakriyata ko anubhav karti hi hogi. Kya woh Veena se alag hogi? Veena ka khayal aate hi pata nahi kitne drishya meri aankhon ke aage naach gaye jab woh behad kaamuk avastha me mere aage tadapti thi, gidgidati thi, hinsak bhi ho jati thi aur mai bas ek boda mard hi sabit hota tha jo uski bhookh bhi theek se nahi mita sakta tha. Kya us bhookh me vaqai Veena ka dosh tha?
Mujhe Vaidehi me doosri Veena dikhi… mujhe Khem Singh me apne se ulat ek samanya mard dikha. Jo woh kar rahe the, samajik dayre me rah kar hum use kitna bhi varjanaon me qaid karein lekin woh tha to prakritik, naisargik. Kya dosh tha Khem Singh ka jo apne ekant me apne andar ubalti jwala ko apne hi haath se anjaam tak pahuncha raha tha. Kaise galat tha yeh… aur yeh galat tha to Vaidehi kaise sahi ho gayi, phir woh bhi to wahi kar rahi thi. Khem Singh shayad apni kalpana me kisi ko bhog raha tha aur Vaidehi use dekhti shayad apni kalpana me bhogya bani hui hogi. Sabkuch prakritik hi to tha.
Mai kahan fit hota tha usme … mai kya adhikar rakhta tha unhe tokne ya mana karne ka. Woh unki stri-sulabh, purush-sulabh sahaj swabhavik sharirik demand thi… jisse ek had tak mai mahroom raha tha aur yahi wajah thi ki mujhe ise sweekarne me dikkat ho rahi thi.
Din yun hi guzar gaya. Ve aage-peeche mere saamne aaye bhi to aise ki jaise koi baat hi na hui ho. Sabkuch unke liye normal tha.. bas mujh ullu ke patthe ke liye hi abnormal tha.
Khair jaise-taise karke us baat ko mann se nikaala. Halaanki jab bhi ve nazar ke saamne aate to manaspatal par wahi drishya punah jeevit ho uthte lekin phir bhi apne vyavhaar se aisa kuch jatane ki koshish nahi ki, ki maine unhe kuch asamanya karte bhi dekha hai.
Usi hafte ek cheez aur hui. Vaidehi us din thoda jaldi hi college ke liye nikal gayi thi aur Khemu dusting kar raha tha. Vaidehi ke kamre se aage guzarte waqt achanak mujhe thamakna pad gaya. Halaanki darwaza band hi tha aur bas itna hi khula tha ki jhiri si bani hui thi aur us jhiri se mujhe us kamre maujud Khem Singh dikh raha tha.
Woh bathroom ke darwaje ke paas khada tha aur usne ek panty apne muh se laga rakhi thi aur dono aankhen band karke use soonghta hua shayad kisi aur duniya me khoya hua tha. Panty zarur Vaidehi ki thi aur woh uski khushboo soongh raha tha.
Aakasmik aur swabhavik roop se mere andar gusse ki tez lahar uthi aur ji chaha ki abhi fatkarun use … lekin himmat na padi. Khud ko ekdum kamzor mehsoos kiya maine. Kya yeh ek nakaam mard ka gussa nahi tha ek kaamyab mard par? Mujhe uske yaunettejit ho kar us panty ko soonghne me apne andar ke mard ki haar dikhi.
Phir usne aankhen kholin aur mai aage badh liya. Nahi saamna karne ki himmat kar paya mai. Bas naitik aur anaitik ke jhanjhaavat me ulajh kar rah gaya. Mujhe yeh theek nahi bhi lagta tha aur is par meri taraf se ankush lagaana bhi zyadati lagti thi.
Yahi Sunday ko hua jab maine kisi kaam se Khem Singh ko bahar bheja aur khud upar apne kamre me chala aaya. Mujhe upar se Vaidehi ghar se bahar nikalti dikhi to meri dilchaspi jaag uthi. Ghar me zyadatar sheeshon ka upyog tha to yun nazron se bach pana mushkil hi tha. Woh peeche hi gayi thi.
Maine khud me naitik bal paida kiya aur niche utar kar bahar aa gaya. Har taraf dopahar wala sannata tha to bhi thodi ehtiyat baratte mai peeche aa gaya. Khem Singh ke quarter ka darwaza bahar se khula aur andar se band tha, jiska matlab tha ki Vaidehi andar thi.
Quarter ke side me khidki thi, jiske palle kaafi purane ho chuke the aur unse andar dekha ja sakta tha. To maine wahi kiya… andar chunki usne koi roshni to nahi ki thi par upar roshandan se pahunchti roshni bhi paryapt thi aur mai dekh sakta tha ki Vaidehi us takht ke sire par baithi thi jo Khem Singh ke sone ke liye tha.
Yahan woh bhi wahi kar rahi thi jo 3 din pehle Khem Singh kar raha tha. Ek haath se Khem Singh ke utaare underwear ko pakde, chehre se sataye soongh rahi thi aur doosre haath ko niche chala rahi thi… shayad apni yoni ko sehla rahi thi.
Phir mere dekhte-dekhte uske chalte hue haath ki gati tez hoti gayi aur ek waqt woh bhi aaya jab woh akad kar bistar par phail gayi.
Ab mere rukne ka matlab nahi tha, mai wahan se hat aaya.
Next Part ==> Vaidehi 2
